Me / Poems (by me) / Urdu

Jab Mai Choti Bachi Thi


GirlOnSwing_004-500w

Jab mai choti bachi thi,

Mann ki bilkul sachi thi,

Aqal se thori kachi thi,

Jab mai choti bachi thi.

Har waqt khaila karti thi,

Tehri roti baila karti thi,

Bhaiyyon ko khoob satati thi,

Phir un se maar bhi khaati thi,

Jab mai choti bachi thi.

School janay ki thi shoqeen,

Parhai, dost aur canteen,

Mai homework waqt pe karti thi,

Fail honay se mai darti thi,

Jab mai choti bachi thi.

KhoKho, badminton aur pito garam,

Muhallay mai thay mere bharam,

Sab larkon ki mai naani thi,

Apni umar se bari sayyani thi,

Jab mai choti bachi thi.

Har cheez mai matching pehanti thi,

Har kaam mai bari mehanti thi,

Par zabaan bohat mai chalati thi,

Har kisi ki bari hatati thi,

Jab mai choti bachi thi.

Mai nacha gaya karti thi,

Daadi ko kharaton se jagaya karti thi,

Patangain mai urati thi,

Chatt’on se jumpain mai lagati thi,

Jab mai choti bachi thi.

Lagti hoon agar mai tumko ajeeb,

Neem ke pat’ton ka juice ho tumko naseeb,

Mai sab se bilkul hat ke hoon,

Mai kal bhi choti bachi thi,

Mai aaj bhi choti bachi hoon!

c8rtn

Me =^_^=

14 thoughts on “Jab Mai Choti Bachi Thi

Love it, hate it? Go on say it. COMMENT!