My Favorite Poets / My Favorites - Urdu

Khochee Laila


One of my closest (read: demetend, retarded) friend wrote this and ofcourse had to share it with me. When I read it today after so many years I almost fell off the chair laughing. Read at your own risk :P

Ohhhhhh khochee, mein tujh pe qurbaan,
Teri neeli zulfein aur kaali zabaan!

Ohh meri laila kion ho mujh se durr?
Tu hai meri jannat ki hoor!

Apnay daddy ko bolo, khochee, maan jai,
Warna mera wahshi kutta usko khaa jai!

Mein tum ko pehnaon sonay kay kangan,
Aur Karachi le jaa kar banaoon bhangan!

Chal meri laila, khochee, Kalaash chalain,
Aa ja mere saath, ghar ki chabi talaash karein!

Hamaray hongay gol gappay jaisay bachay,
Un ke das mamoo, do khala aur char chachay!

Meri Laila, khochee, mein tum pe Qurbaan!
Humari ishotry idhar shuro, aur end Qabristan!

Part II (2 years later)

Oh, khochee laila, tera khana kharab!
Tum ne meri zindagi ka banadia kabab!

Hamaray paiday ho gaye das munnay shaytaan!
Sara din bus mujhey karein pareishan!

Tu ne shadi se pehlay khana banana nahi seekha,
Aur ab mere pait ki yeh halat ke sirf cheekha hi cheekha!

Khochee, teray das bhai mujhay loot gaye,
Mera karobar khatam aur daant toot gaye!

Khochee laila, tu ne pehlay kion na bataya,
Keh tu ne apni shakal ko hai makeup se banaya!

Subah ko tu moo dho kar jo ati hai,
Meri tau bas rooh qabz hoyi jaati hai!

Yalla meri laila, ab chali bhi ja maikay,
Phir kabhi naa aaonga tujhay wapas laikay!

Ab bas is hi baat ka intizaar hai mujhe,
Keh jald az jald dafna aaon tujhay!

– HZ

6 thoughts on “Khochee Laila

Love it, hate it? Go on say it. COMMENT!